Pages

Tuesday, September 30, 2008

Khoya Khoya Chand


I recently watched 'Khoya Khoya Chand' and simply loved this song from the movie.

Aaj shab jo chaand ne hai roothney ki thaan li,
Gardhishon me hain sitaarey, baat humney maan li;
Andheri syaah zindagi ko soojhti nahin gali,
Kay aaj haath thaam lo ek haath ki kami khali;

Kyun khoya khoya chaand ki firaak me talaash me udaas hai dil?
Kyun apne aap se khafa khafa zara zara sa naaraaz hai dil?

Ye manzilen bhi khud hi tay karen, ye faasley bhi khud hi tay karen,
Kyun raasto pe phir sehem sehem sambhal sambhal ke chalta hai ye dil?
Kyun khoya khoya chaand ki firaak me talaash me udaas hai dil?

Zindagi sawaalon ke jawaab dhoondne chali,
Jawaab me sawaalon ki ek lambi si ladi mili,
Sawaal hi sawaal hain, soojhti nahi gali
Kay aaj haath thaam lo, ek haath ki kami khali

Jee me aata hai, murdaa, sitaarey noch loon
Idhar bhi, noch loon, udhar bhi, noch loon
Ek-do kaa zikra kyaa, main saarey noch loon
Main saarey noch loon
Idhar bhi noch loon, udhar bhi noch loon,
Sitaarey noch loon, main saarey noch loon;

Kyun tu aaj itna veheshee hai, mizaaj me majaaz hai aye gham-e-dil?
Kyun apne aap se khafa khafa zara zara sa naaraaz hai dil?

Dil ko samjhana, keh do kyaa, aasaan hai?
Dil to, fitrat se, sun lo naa, be-imaan hai,
Ye khush nahi hai jo milaa, bas maangta hi hai chalaa,
Jaantaa hai, har lagi kaa, dard hee hai bas ik silaa;

Jab kabhi ye dil laga, dard hi humein milaa,
Dil ki har lagi ka sun lo dard hi hai ik silaa;

Kyun naye naye se dard ki firaak me talaash me udaas hai dil?
Kyun apne aap se khafa khafa zara zara sa naaraaz hai dil?

Kyun khoya khoya chaand ki firaak me talaash me udaas hai dil?
Kyun apne aap se khafa khafa zara zara sa naaraaz hai dil?

No comments: